Why?

Aap theek ho mosi?
Aap theek ho na?
Aap ka shareer theek hai na?
(A voice overflowing with care)
Aap acchi ho na mosi?
Aap theek ho na?

Paccka?

Phir kyu apke shabd sun ke humari maiya ke aakho mai assu a jate hai?
Phir kyu mai logo sai apke bare mai acchi km buri baate jada sunta hu?
Kyu Hume lagta hai ki Hume apko sahi karna hoga?
Kyu hume lagta hai ye sab bolke apke mn mai humare liye bas krodh aur gridhna, utpann hogi?

Phir kyu kabhi kabhi apke shabd aur apka laheza bilkul pasand nahi aata hume?
Kyu nana nai apko tokna bandh kar diya hai?
Kyu unhone apko theek karna bandh kar diya hai?
Kyu mosi?
Kyu?
(And tears fall)
A.V

Comments

Popular Posts

The Last Night and The First Day

Ministry of Chai and ISL

Kavita